hum tark-e-talluq ka gila bhi nahin karte tum itne khafa ho ki jafa bhi nahin karte tum shauq se elan-e-jafa par raho nazan hum jurat-e-izhaar-e-wafa bhi nahin karte mana ki hansi bhi hai ada aap ki lekin itna kisi bekas pe hansa bhi nahin karte hum jurat-e-guftar ke qail to hain lekin har baat sar-e-bazm kaha bhi nahin karte har haal mein maqsad hai safar mahw-e-safar hain nakaami-e-paiham ka gila bhi nahin karte muddat se hai khamosh faza dar-o-rasan ki ab jurm-e-wafa ahl-e-wafa bhi nahin karte kya jaaniye kis rang mein hai shams 'zubairi' but ek taraf zikr-e-khuda bhi nahin karte