is ka gila nahin ki dua be-asar gai ek aah ki thi wo bhi kahin ja ke mar gai ai ham-nafas na puchh jawani ka majra mauj-e-nasim thi idhar aai udhar gai dam-e-gham-e-hayat mein uljha gai umid hum ye samajh rahe the ki ehsan kar gai is zindagi se hum ko na duniya mili na din taqdir ka mushahida karte guzar gai anjam-e-fasl-e-gul pe nazar thi wagarna kyun gulshan se aah bhar ke nasim-e-sahar gai bas itna hosh tha mujhe roz-e-wida-e-dost virana tha nazar mein jahan tak nazar gai har maujh-e-ab-e-sindh hui waqf-e-pech-o-tab 'mahrum' jab watan mein hamari khabar gai