is nae gham se kinara bhi to ho sakta hai ishq phir hum ko dobara bhi to ho sakta hai aap andaza lagate rahen bas jugnu ka meri mutthi mein sitara bhi to ho sakta hai kya zaruri hai ki ye jaan luta di jae us ki yaadon pe guzara bhi to ho sakta hai dil ki basti se sar-e-sham jo uttha hai dhuan achchhe mausam ka ishaara bhi to ho sakta hai aap ko hum se mohabbat bhi to ho sakti hai aur mohabbat mein khasara bhi to sakta hai ye jo phaila hai falak tak shab-e-hijran ka ghubar meri wahshat ka nazara bhi to ho sakta hai