is qadar hasti-e-mauhum se sharmata hun zikr jine ka jo aata hai to mar jata hun maut ne kitne bakhedon se chhudaya mujh ko na tadapta hun na rota hun na chillata hun kaam mujh se nahin hota koi juz jurm-o-gunah mehnat-e-katib-e-amal se sharmata hun ek khat yar ko likhta hun jo betabi mein dusra katib-e-amal se likhwata hun ek hamdard nahin aalam-e-tanhai mein mujh ko samjhata hai dil dil ko main samjhata hun