koi to tha dhanak dhanak KHwab mein ya KHayal mein

koi to tha dhanak dhanak khwab mein ya khayal mein
rang ajib ghul gae kaifiyyat-e-malal mein

mohr thi mere nutq par tere labon ki naghmagi
warna jawab the chhupe tere har ek sawal mein

bol tu soch soch kar chal tu sambhal sambhal ke chal
ki hai bahut gulo ki baat hum ne teri misal mein

sard dinon ki tarah gum ho gai apni zindagi
farq kahan raha koi mah mein aur sal mein

mere riwaq-e-dil mein tu chalta tha kitne naz se
aa gai kaise ab lachak teri saba si chaal mein

mere firaq mein teri umr thahar gai thi kya
baal safed ho gae mere tere khayal mein

mausam-e-aza ho kabhi meri taraf bhi ek nazar
utre koi naya parind mere ghamon ke tal mein

apne kinara kar na ab 'baqar'-e-khush-misal se
be-hunari sharik thi us ki tere kamal mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close