is raaz ko kya jaanen sahil ke tamashai hum dub ke samjhe hain dariya teri gahrai jag ai mere ham-saya khwabon ke tasalsul se diwar se aangan mein ab dhup utar aai chalte hue baadal ke sae ke taaqub mein ye tishna-labi mujh ko sahraon mein le aai ye jabr bhi dekha hai tarikh ki nazron ne lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza pai kya saneha yaad aaya 'razmi' ki tabahi ka kyun aap ki nazuk si aankhon mein nami aai