phul zaKHmi hain Khaar zaKHmi hai

phul zakhmi hain khar zakhmi hai
ab ke sari bahaar zakhmi hai

meri aankhon se khun bahta hai
kis qadar intizar zakhmi hai

meri gardan to kat di hai magar
khud bhi wo zul-fiqar zakhmi hai

teri haiwaniyat pe a insan
nazm-e-lail-o-nahaar zakhmi hai

husn ne aisi zarb mari hai
ab talak mera pyar zakhmi hai

teri nusrat ko aa nahin sakta
tera ye jaan-nisar zakhmi hai

ab kisi par yaqin nahin hai mujhe
is qadar eatibar zakhmi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close