is riyazat ka meri jaan sila kuchh bhi nahin

is riyazat ka meri jaan sila kuchh bhi nahin
ishq ka khel shararon ke siwa kuchh bhi nahin

zabt ke kaun-se zine pe main aa pahunchi hun
hath utthe hain magar harf-e-dua kuchh bhi nahin

ab to khurshed ba-kaf hum ko ubharna hoga
in andheron mein faqat ek diya kuchh bhi nahin

aise lagta tha ki duniya hi ujad jaegi
khauf tha chaaron taraf aur hua kuchh bhi nahin

khamushi khud hai takallum ka wasila 'sayyad'
dasht-e-hairat hai yahan saut-o-sada kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close