kya kahen mahfil se teri kya utha kar le gae hum mata-e-dard ko tanha utha kar le gae dhup ka sahra nazar aata hai ab chaaron taraf aap to har ped ka saya utha kar le gae ab wahi zarre hamare haal par hain khanda-zan aasman tak jin ko hum uncha utha kar le gae kya gharaz hum ko wahan ab koi bhi aabaad ho hum to us basti se ghar apna utha kar le gae wo to majnun tha raha jo umr bhar sahra-naward hum jahan pahunche wahin sahra utha kar le gae kar na pae rahbar bhi rahnumai jab 'hayat' hum bhi hairani mein naqsh-e-pa utha kar le gae