is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin

is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin
aur zer-e-saeban main bhi nahin tu bhi nahin

zahr mein dubi hui parchhaiyon ka raqs hai
khud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin

na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe
sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin

zard lafzon ke dhundalke sham ki aankhon mein hain
garche zeb-e-dastan main bhi nahin tu bhi nahin

na-tawan jismon pe kyun hai gardishon ka mor-nach
shab-gazida aasman main bhi nahin tu bhi nahin

be-asar ho jae jis se dil ka zakhm-e-atishin
marham-e-wahm-o-guman main bhi nahin tu bhi nahin

shab ki gahri khamushi bhi gosh-bar-awaz hai
aahaton ka karwan main bhi nahin tu bhi nahin

ehtiyaton ki guzargahen to pichhe rah gain
ab sada-e-mehrban main bhi nahin tu bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close