is samay koi nahin meri nigahbani par ye ghadi sakht kadi hai tere zindani par ba-khabar kar ke rah-e-ishq ki mushkil se tujhe faisla chhod diya hai teri aasani par na hawa aur na mitti pe kabhi ho paya jo bharosa hai mujhe bahte hue pani par main abhi pahle khasare se nahin nikla hun phir bhi tayyar hai dil dusri nadani par kisi bhi waqt badal sakta hai lamha koi is qadar khush bhi na ho meri pareshani par khatm hone ko hain ashkon ke zakhire bhi 'jamal' roe kab tak koi is shahr ki virani par