is se pahle ki hawa mujhko uDa le jae

is se pahle ki hawa mujh ko uda le jae
apni zulfon mein koi aa ke saja le jae

jis ko is ahd mein jine ka hunar aata ho
us se kah do ki meri umr laga le jae

chandni khidki se kamre mein utar aati hai
koi taswir na album se chura le jae

hausla dew se ladne ka kisi mein bhi nahin
chahte sab hain pari aa ke jaga le jae

apni khatir na sahi kuchh to bacha kar rakkho
lutne koi agar aae to kya le jae

ibn-e-adam na kaho us ko farishta samjho
khud ko jo dana-e-gandum se bacha le jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close