wo ghoDiyon ki tarah shoKH aur lachili thi

wo ghodiyon ki tarah shokh aur lachili thi
main shahsawar tha lekin giraft dhili thi

laga hua hai zamana badai mein jis ki
usi ne shahr se pahli lagan bhi li thi

wo ja chuki to achanak mujhe khayal aaya
wo ghas jis pe main baitha tha kitni gili thi

hamara khun samay ka sufuf jazb kare
hamari chhaal kisi bad-guman ne chhili thi

ab us ka dhab bhi koi dekhta to hoga hi
jise tarash ke qarnon ne zahr pi li thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close