is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa

is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa
khwab ki tarah kabhi khwab ki tabir mein aa

main bhi ai surkhi-e-be-nam tujhe pahchanun
tu hina hai ki lahu paikar-e-taswir mein aa

is ke halqe mein tag-o-taz ki wusat hai bahut
aahu-e-shahar, meri banhon ki zanjir mein aa

chaara-gar khair se khush-zauq hai ai meri ghazal
kaam ab tu hi mere dard ki tashhir mein aa

wo bhi aamada bahut din se hai sunne ke liye
ab to ai harf-e-talab mariz-e-taqrir mein aa

ek rang aakhiri manzar ki dhanak mein kam hai
mauj-e-khun uth ke zara arsa-e-shamshir mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close