is tarah baiThe ho kyun be-zar se

is tarah baithe ho kyun be-zar se
bhar gaya dil rahat-e-didar se

ashk kya dhalka tere rukhsar se
gir pada hun jaise main kohsar se

dar khula to meri hi jaanib khula
sar patakhta rah gaya diwar se

ek din khamosh ho kar dekhiye
lutf gar uthne lage takrar se

dekh lo ye zard aankhen khushk hont
puchhte ho haal kya bimar se

qadr kijiye faiz jis jis se mile
saya-e-diwar hai diwar se

kal mubaada ho yahan viraniyan
dar raha hun garmi-e-bazar se

jhut chalta hai magar ek aadh bar
ai qasida-khwan hazar takrar se

bik rahi hai zindagi ke mol maut
jaiye le aaiye bazar se

mangte hain wote is par tantana
pech-o-kham nikle nahin dastar se

band kar t w ki khabren be-khabar
chal koi column suna akhbar se

dosti ki mahfilen qaem rahen
ye dua hai apni palanhaar se

tujh mein 'ahmad' aib hain lakhon magar
wasta hai tera kis sattar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close