tair-e-shauq giraftar nahin rah sakta

tair-e-shauq giraftar nahin rah sakta
ye asir-e-dar-o-diwar nahin rah sakta

jabr hassas tabiat par agar bojh bane
habs-abaad mein fankar nahin rah sakta

hum agar sach ko zabanon pe saja kar rakkhen
phir safar zist ka dushwar nahin rah sakta

tu bhi meri hi tarah hai main tujhe jaanta hun
der tak tu bhi wafadar nahin rah sakta

rahnuma bantte phirte hon jahan khwab 'raza'
phir wahan koi bhi bedar nahin rah sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close