is tarah kho gaya hun main apne wajud main

is tarah kho gaya hun main apne wajud main
ab khud ko dhundta hun main apne wajud mein

aadat si pad gai hai jo tanqis ki mujhe
kide nikalta hun main apne wajud mein

kuchh is tarah se dhae hain haalat ne sitam
gum ho ke rah gaya hun main apne wajud mein

tum to mere wajud ka hissa na the kabhi
kyon tum ko dhundhta hun main apne wajud mein

qaem hai mujh mein mere takhayyul ki saltanat
be-taj baadsha hun main apne wajud mein

mujh par mere wajud ka har naqs hai ayan
khud ek aaina hun main apne wajud mein

'nayab' inqilab-e-zamana ki hai dalil
badlaw dekhta hun main apne wajud mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close