is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai aaj se teri meri rah juda hoti hai main kisi aur hi duniya mein pahunch jata hun jab bhi kanon mein azanon ki sada hoti hai bad-dua koi agar de to bura mat mano bad-dua bhi to meri jaan dua hoti hai nind ke sath hi ek bab naya khulta hai khwab ke tutne judne ki katha hoti hai jism ki wadiyon mein rah ke ye jaana main ne jism ki pyas to ghanghor ghata hoti hai main tujhe chhod ke hargiz nahin jaane wala ai meri jaan tu be-wajh khafa hoti hai do jawan dil jo mohabbat mein kabhi pad jaen kya ye sach-much mein khuda ki hi khata hoti hai