shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui

shiddat-e-izhaar-e-mazmun se hai ghabrai hui
teri be-unwan kahani lab pe sharmai hui

main sarapa jurm jannat se nikala to gaya
darte darte puchhta hun kis ki ruswai hui

ek sannata hai dil mein ek tasawwur aap ka
ek qayamat par qayamat dusri aai hui

imtiyaz-e-surat-o-mani ke parde chaak hain
ya tere chehre pe masti ki ghata chhai hui

aarzu fitne jagae dil mein thi ab hai magar
is qayamat ke jahan ko nind si aai hui

husn harjai hai 'bismil' ishq ki lazzat gai
andalib-e-waqt har ek gul ki shaidai hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close