is waqt apne tewar pure shabab par hain sare jahan se kah do hum inqalab par hain hum ko hamari ninden ab chhu nahin sakengi jis tak na nind pahunche us ek khwab par hain un qatilon ke chehre ab to ughaariyega taza lahu ke dhabbe jin ke naqab par hain apni ladai hai to kewal usi mahal se apne lahu ki bunden jis ke gulab par hain kaise mita sakega hum ko 'kunwar' zamana hum dastakhat samay ke dil ki kitab par hain