is zamane mein na ho kyunkar hamara dil udas dekh kar ahwal-e-alam udte jate hain hawas bas raha hai bu se teri jaan-e-man aisa dimagh be-dimagh hum ko rakhe hai bagh mein phulon ki bas jis taraf jawe tu ai khurshid-ru saye ki tarah har qadam main bhi hun tere sath sath aur pas pas tishnagi se chah ki teri nahin sairab dil hai masal mashhur mustasqi ki nain bujhti hai pyas haq se milna gerwe kapdon upar mauquf nain dil ke tain rango faqiri ye hai aur sab hai libas jun jun tu saghar piye hai ghair ki majlis ke bich tun tun ai bad-mast dil mein mere aata hai hiras kunah zat-e-haq ko kya pawe koi 'hatim' kabhu sab ke aajiz hain yahan wahm-o-guman fahm o qayas