ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun khud ko ruswa sar-e-bazar bhi kar sakta hun tu samajhta hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair main tere pyar se inkar bhi kar sakta hun ghair mumkin hi sahi tujh ko bhulana lekin ye jo dariya hai ise par bhi kar sakta hun tu meri amn-pasandi ko ghalat nam na de war sahta hi nahin war bhi kar sakta hun mai-kada kar-e-digar aur janab-e-waiz aisi neki main gunahgar bhi kar sakta hun dawara main teri duniya mein to khamosh raha par sar-e-hashr main takrar bhi kar sakta hun