wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari

wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari
na badal saka zamana meri khu-e-waza-dari

wahi mai-kada hai lekin nahin ab wo kaif-bari
gae hum mazaq le ke mera lutf-e-baada-khwari

ho zaban jis ke munh mein wo na aae anjuman mein
kahin rakh na de sitam-gar yahi shart-e-raaz-dari

kabhi hanste hanste rona kabhi rote rote hansna
koi kya samajh sakega bhala maslahat hamari

main zamane bhar ke tane na khamosh ho ke sunta
jo junun-e-ishq hota mera feal-e-ikhtiyari

mai-e-ashiqi se tauba hai junun-e-parsai
kahin le na dube waiz tujhe zoam-e-hoshiyari

na pahunch saka jahan tak kabhi pa-e-kibr-o-danish
wahin 'jurm' le gai hai mujhe meri khaksari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close