ishq ka bhi qabil hota hai dard dil ka kafil hota hai yaad aaya na kar namazon mein mera sajda tawil hota hai be-wafaon ke zikr mein tera tazkira bar-sabil hota hai arsa-e-zist tum zara socho hae kitna tawil hota hai ai shab-e-gham har ek pal tera mujh ko sadiyan masil hota hai ashk jo ishq ne bahaya wo aashiqon ka wakil hota hai tanha be-chaara sa ye mera dil tere bin ab alil hota hai