ishq ko bar-e-zindagi na kaho baat itni bhi be-tuki na kaho dil ko jis mein ho fikr-e-sud-o-ziyan us tijarat ko aashiqi na kaho kuchh to marne ka hausla dikhlao sirf jine ko zindagi na kaho dil-lagi ke siwa bhi kuchh hai ishq ishq ko mahz dil-lagi na kaho kuchh na kah kar bhi apne dil ki baat yun ba-andaz-e-khamushi na kaho sab kaho par hamein khuda ke liye apne mahfil mein ajnabi na kaho jis ko kuchh aadmi ka dard na ho aise zalim ko aadmi na kaho dil ko bakhshe jo zindagi 'mansha' tum to us gham ko gham kabhi na kaho