wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang juda hai sab se mere dil ke iztirab ka rang shaguftagi mujhe zakhm-e-jigar ki yaad aai chaman mein dekh ke khilte hue gulab ka rang kiya na tark agar tark-e-ashiqi ka khayal kharab aur bhi hoga dil-e-kharab ka rang laga rahe hain wo nashtar se zakhm par marham nigah-e-lutf-e-karam mein bhi hai itab ka rang ye mai-kada to hai khud inqalab ki duniya yahan jamega na duniya ke inqalab ka rang hawadason se jamal-e-rukh-e-hayat hai yun qarib sham ho jis tarah aaftab ka rang dil-e-tabah ka 'fazil' khuda hi hafiz hai ki ab hai aur hi kuchh dard-o-iztirab ka rang