ishq mein hijr ke sadme bhi uThae nahin hain

ishq mein hijr ke sadme bhi uthae nahin hain
apni marzi se to hum dasht mein aae nahin hain

apna kasa bhi tahi apna kadu bhi khali
dagh-e-didar-o-hawas dil pe lagae nahin hain

hum se mayus na ho sham-e-shabistan-e-khayal
hum abhi khak ke sine mein samae nahin hain

ab kisi samt se khushbu nahin aati hum tak
kaghzi phul bhi taqon mein sajae nahin hain

ek dukan khol ke bazar ka rukh dekhna hai
abhi aain tijarat ke banae nahin hain

hurmat-e-harf ki tafsir banane walo
hum kisi aur sitare se to aae nahin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close