ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz

ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz
gul se matlab hai na kuchh khar-e-bayaban se gharaz

ishq ki sarkar ko bebak bilkul kar chuke
ab na kuchh zanjir se matlab na zindan se gharaz

kis se hum jhagden nahin apna kisi millat mein mel
ishq ke bande ko kya gabr-o-musalman se gharaz

aalam-e-wahshat mein uryani ka jama chahiye
kaam hathon ko gareban se na daman se gharaz

teri nazron mein na thahrega ye ru-e-aftab
tujh ko ai 'akhtar' na hogi mah-e-taban se gharaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close