ishq tasir se naumed nahin jaan-sapari shajar-e-bed nahin saltanat dast-ba-dast aai hai jam-e-mai khatam-e-jamshed nahin hai tajalli teri saman-e-wajud zarra be-partaw-e-khurshed nahin raaz-e-mashuq na ruswa ho jae warna mar jaane mein kuchh bhed nahin gardish-e-rang-e-tarab se dar hai gham-e-mahrumi-e-jawed nahin kahte hain jite hain ummed pe log hum ko jine ki bhi ummed nahin