isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti ye duniya gham to deti hai sharik-e-gham nahin hoti charaghon mein lahu insaniyat ka jagmagata hai magar insaniyat ki chashm-e-kam pur-nam nahin hoti khushi mahsus karta hun to duniya sath deti hai musibat mein magar aamada-e-matam nahin hoti khushi ki shama to ai dost zad mein aa bhi jati hai magar dagh-e-jigar ki raushni maddham nahin hoti saliqa chahiye aawaz ko pahchan lene ka nawa-e-shairi har dam nawa-e-gham nahin hoti 'jalil' un se bichhad kar ek zamana ho gaya lekin abhi tak mere ashkon ki rawani kam nahin hoti