is ko ghurur-e-ishq ne kya kya bana diya patthar bana diya kabhi shisha bana diya har zakhm-e-dil ko hum ne sajaya hai is tarah jugnu bana diya kabhi tara bana diya main kis zaban se shukr khuda ka ada karun jis ne mujhe firaq ka shaida bana diya ab kis ke dar pe jaun main insaf ke liye munsif ne qatilon ko masiha bana diya jab bhi hamein mahaz se aawaz di gai hum ne lahu se hind ka naqsha bana diya us ko khulus kaise nazar aaega 'ashok' dushman ko intiqam ne andha bana diya