tapti zamin pe panw na dhar ab bhi laut ja kyun ho raha hai khak-ba-sar ab bhi laut ja ab tak khule hue hain sadaqat ke raste band ho na jaen waqt ke dar ab bhi laut ja itra na tu nawishta-e-diwar padh bhi le dar-o-rasan ki baat na kar ab bhi laut ja aaankhon ke baadban se viraniyan bhi dekh kis darja lut chuka hai ye ghar ab bhi laut ja 'rahi' abhi to sham ki surkhi bujhi nahin zid kar na lait-o-lal na kar ab bhi laut ja