is ki qudrat ki did karta hun roz nau-roz id karta hun mera ahwal-e-faqr mat puchho zohd misl-e-farid karta hun roz bazar-e-mulk-e-hasti mein jins-e-isyan kharid karta hun fath karne ko qalb-e-dil ka hisar tegh-e-himmat kalid karta hun bas-ki main tishna-e-shahadat hun dil ko har-dam shahid karta hun na main sunni na shia ne kafir sufi hun sab ka wid karta hun shaikh tu go ki pir-zada hai rah tujhe main murid karta hun apne ehsan-e-khalq se 'hatim' aadmi ko abid karta hun