kuchh ghuncha-labon ki yaad aai kuchh gul-badanon ki yaad aai jo aankh jhapakte bit gain un anjumanon ki yaad aai majruh gulon ke daman mein paiwand lage hain khushbu ke dekha jo bahaaron ka ye chalan sunsan banon ki yaad aai thi hosh-o-khirad se kis ko gharaz arbab-e-junun ke halqe mein jab fasl-e-bahaaran chikh uthi tab pairahnon ki yaad aai kya kam hai karam ye apnon ka pahchanne wala koi nahin jo des mein bhi pardesi hain un ham-watanon ki yaad aai shirin ki adaon par mail parwez ki satwat se khaif jo ban na sake farhad kabhi un tesha-zanon ki yaad aai chhaya hai 'qatil' akasr dil par nadida nazaron ka jadu hum baadiya-paima the lekin phir bhi chamanon ki yaad aai