itne aasuda kinare nahin achchhe lagte

itne aasuda kinare nahin achchhe lagte
ek hi jaise nazare nahin achchhe lagte

itni be-rabt kahani nahin achchhi lagti
aur wazeh bhi ishaare nahin achchhe lagte

zara dhimi ho to khushbu bhi bhali lagti hai
aankh ko rang bhi sare nahin achchhe lagte

pas aa jaen to be-nuri muqaddar thahre
dur bhi itne sitare nahin achchhe lagte

apni gumnami ke sahraon mein khush rahti hun
ab mujhe shahr tumhaare nahin achchhe lagte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close