itni si aankh ne gham kitna utha liya hai kashti ne apne andar dariya utha liya hai us ni-wasl se ye tark-e-talluq achchha chandi ko rakh ke main ne sona utha liya hai ek to pagar jaise bachchon ki jeb-kharchi upar se doston ka kharcha utha liya hai khushbu ke aashiqon ko tazin-e-bagh se kya jo phul bhi zara sa mahka utha liya hai chubh jae soi bhi to bhagen mujhe dikhane jaise ki main ne sab ka theka utha liya hai nani ne tark kar di kyun rasm-e-qissa-goi kya chand se kisi ne charkha utha liya hai