jaan de di rahraw-e-manzil ne manzil ke qarib hausle tufan ke nikle bhi to sahil ke qarib wo nazar bahki hui phirti hai kyun dil ke qarib us ki manzil bhi hai shayad meri manzil ke qarib azm-e-gharqabi hai to minnat-kash-e-tufan na ban kashtiyan lakhon hui hain gharq sahil ke qarib rahraw-e-manzil ne ban kar markaz-e-yas-o-umid manzilen lakhon bana lin apni manzil ke qarib dubne wale ko tinke ka sahaara chahiye mauj bhi sahil nazar aati hai sahil ke qarib jaan de kar mutmain hai rahraw-e-himmat-shikan duri-e-manzil ne pahunchaya hai manzil ke qarib didani hai us ki hasrat us ka arman us ka shauq jis ki kashti dub jae aa ke sahil ke qarib dagmaga jate hain pa-e-shauq akasr ai 'rais' manzilen aisi bhi aa jati hain manzil ke qarib