jaan muqaddar mein thi jaan se pyara na tha mere liye subh thi subh ka tara na tha bahr-e-shab-o-roz mein bah gae tinke se hum mauj-e-bala-khez thi aur kinara na tha jaan ke dushman the sab log tere shahr ke umr kati jis jagah pal bhi guzara na tha sard rahi umr bhar anjuman-e-arzu khar-o-khas-e-shauq mein koi sharara na tha kis ke liye jagte kis ki taraf bhagte itne bade shahr mein koi hamara na tha shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab us ki taraf chal diye jis ne pukara na tha dur sahi manzilen ab na rahin himmaten tut gae pa-e-shauq dil abhi haara na tha