jaana ki shaghl rakhte ho tir-o-kaman se tum

jaana ki shaghl rakhte ho tir-o-kaman se tum
par mil chala karo bhi kaso khasta-jaan se tum

hum apni chaak jeb ko si rahte ya nahin
phate mein panw dene ko aae kahan se tum

ab dekhte hain khub to wo baat hi nahin
kya kya wagarna kahte the apni zaban se tum

tinke bhi tum thaharte kahin dekhe hain tanik
chashm-e-wafa rakho na khasan-e-jahan se tum

jao na dil se manzar-e-tan mein hai ja yahi
pachhtaoge uthoge agar is makan se tum

qissa mera sunoge to jati rahegi nind
aaram chashm mat rakho is dastan se tum

khul jaengi phir aankhen jo mar jaega koi
aate nahin ho baz mere imtihan se tum

jitne the kal tum aaj nahin pate itna hum
har-dam chale hi jate ho aab-e-rawan se tum

rahte nahin ho ban gae 'mir' us gali mein raat
kuchh rah bhi nikalo sag-o-pasban se tum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close