jaana to bahut dur hai mahtab se aage

jaana to bahut dur hai mahtab se aage
badhte hi nahin panw tere khwab se aage

kuchh aur hasin mod the rudad-e-safar mein
likkha na magar kuchh bhi tere bab se aage

tahzib ki zanjir se uljha raha main bhi
tu bhi na badha jism ke aadab se aage

moti ke khazane bhi tah-e-ab chhupe the
nikla na koi khatra-e-girdab se aage

dekho to kabhi dasht bhi aabaad hai kaisa
niklo to zara khitta-e-shadab se aage

bichhda to nahin koi tumhaara bhi safar mein
kyun bhage chale jate ho betab se aage

duniya ka chalan dekh ke lagta to yahi hai
ab kuchh bhi nahin aalam-e-asbab se aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close