jaanch-parakh kar dekh chuki tu har munh-bole bhai ko

jaanch-parakh kar dekh chuki tu har munh-bole bhai ko
kahne de ab koi sachchi baat 'qatil-shifai' ko

kar diya bilkul apne jaisa mujh ko andhe cupid ne
apni shohrat jaan raha hun main apni ruswai ko

shohrat chahe kaisi bhi ho log tawajjoh dete hain
lakh hasin milte hain ab tak mujh jaise harjai ko

ghabrai kyun baithi hai ab gham-khwaron ke narghe mein
le aai hai mahfil mein jab tu apni tanhai ko

sab ko sunae qisse tu ne jis ki dhoke-bazi ke
us jaisa hi paegi tu apne har shaidai ko

sab se hans kar milne wali kis ne tujh ko samjha hai
nap rahe hain muft mein log samundar ki gahrai ko

pagal-pan to dekho jis din doli uthne wali thi
apne hath se tod diya ek dulhan ne shahnai ko

kyun auron ke nam se chhapwata hai apne sher 'qatil'
yun barbaad kiya nahin karte apni nek kamai ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close