jaane kyun ruh tan-badan mein nahin

jaane kyun ruh tan-badan mein nahin
aaj main apne pairahan mein nahin

chaar-din bhi wo chandni na rahi
aaj sae bhi anjuman mein nahin

ab sabhi ajnabi se lagte hain
aisa lagta hai main watan mein nahin

ab na aah-e-jigar mein soz raha
aur wo dard bhi ghutan mein nahin

gul-e-shahkar chhod de uljhan
ab mera zikr bhi chaman mein nahin

ab pahan lo bashir khamoshi
ab wo jadu tere sukhan mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close