jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal us ne puchha na hamare dil-e-bimar ka haal shama bhi jalne pe aamada thi parwana bhi ek jaisa hi tha matlub-o-talabgar ka haal sogwari mein hamari the barabar ke sharik hum se milta tha hamare dar-o-diwar ka haal sarw-e-timsal hai qamat mein shabahat mein gulab kya bayan samne us ke karen gulzar ka haal us taraf jo bhi gaya laut ke aaya na kabhi puchhiye kis se maqam-e-rasam-o-dar ka haal sab ne dil tham liya dekh ke us ko 'abid' ek hi jaisa hua kafir-o-dinda ka haal