jab bhi kaghaz pe teri aankh ka likkha kajal ashk ban kar mere alfaz se tapka kajal apni khamosh tamannaon ki khidki kholo tum bhi mahsus karo apna mahakta kajal pyar ke dip jalati hai hawaen jaise yunhi palkon pe chamakta hai sunahra kajal jab siyahi na mayassar ho qalam mein jaanan mere ashaar ko deta hai ujala kajal us ki aankhon se tapakte hain ujale ghar mein shab ke mathe pe nazar aae chamakta kajal raat ghir jati hai 'afroz' andheron mein jab apni aankhon mein lagati hai sahar ka kajal