baada-e-gul ko sab andoh-ruba kahte hain

baada-e-gul ko sab andoh-ruba kahte hain
ashk-e-gul rang mein dhal jae to kya kahte hain

fursat-e-bazm bhi malum ki arbab-e-nazar
shola-e-shama ko hum dosh-e-saba kahte hain

ye musalsal tera paiman teri paiman-shikani
hum ise hasil-e-paiman-e-wafa kahte hain

qasr-e-azadi-e-insan hi sahi mai-khana
dar-e-mai-khana ki zanjir ko kya kahte hain

ye rah-e-gham ke kham-o-pech ajab hain jin ko
khush-nazar saya-e-gesu-e-rasa kahte hain

ishq khud apni jagah mazhar-e-anwar-e-khuda
aql is soch mein gum kis ko khuda kahte hain

koi kis dil se bhala un ka bura chahega
jo bhale log buron ko bhi bhala kahte hain

dil-nashin tere siwa koi nahin koi nahin
kaun hain wo jo tujhe dil se juda kahte hain

yahi diwana jo phulon se bhi katraata hai
kya isi ko 'rawish'-e-abla-pa kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close