jab bhi teri yaadon ka silsila sa chalta hai

jab bhi teri yaadon ka silsila sa chalta hai
ek charagh bujhta hai ek charagh jalta hai

shart-e-gham-gusari hai warna yun to saya bhi
dur dur rahta hai sath sath chalta hai

sochta hun aakhir kyun raushni nahin hoti
dagh bhi ubharte hain chand bhi nikalta hai

kaise kaise hangame uth ke rah gae dil mein
kuchh pata magar un ka aansuon se chalta hai

wo surud-e-kaif-agin soz-e-gham jise kahiye
zindagi ke naghmon mein dhalte dhalte dhalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close