jab bhi ye dil udas hota hai jaane kaun aas-pas hota hai aankhen pahchanti hain aankhon ko dard chehra-shanas hota hai go barasti nahin sada aankhen abr to barah-mas hota hai chhaal pedon ki sakht hai lekin niche nakhun ke mas hota hai zakhm kahte hain dil ka gahna hai dard dil ka libas hota hai das hi leta hai sab ko ishq kabhi sanp mauqa-shanas hota hai sirf itna karam kiya kije aap ko jitna ras hota hai