rang ashkon ka badalne bhi nahin deta wo

rang ashkon ka badalne bhi nahin deta wo
aur mujhe ghar se nikalne bhi nahin deta wo

dasta rahta hai bahut meri ana ko pal-pal
apni qurbat se nikalne bhi nahin deta wo

zabt chehre ki tamazat se ayan hai lekin
meri aankhon ko ubalne bhi nahin deta wo

kaghaz-e-dil ko bhigota hai nae ashkon se
phir ye kaghaz kabhi jalne bhi nahin deta wo

bas daraata hai ki us rah pe phislan hai bahut
ishq ki rah pe chalne bhi nahin deta wo

chahta hai ki main gir jaun nazar se us ki
is liye mujh ko sambhalne bhi nahin deta wo

mere kirdar mein dhalta bhi nahin khud 'rahi'
apne kirdar mein dhalne bhi nahin deta wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close