jab hawa shab ko badalti hui pahlu aai muddaton apne badan se teri khushbu aai mere naghmat ki taqdir na pahunche tujh tak meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai apni aankhon se lagati hain zamane ke qadam shahar ki rah-guzaron mein meri khu aai han namazon ka asar dekh liya pichhli raat main idhar ghar se gaya tha ki udhar tu aai muzhda ai dil kisi pahlu to qarar aa hi gaya manzil-e-dar kati saat-e-gesu aai