jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main tum ne puchha to hota batla sakta tha main aasuda rahne ki khwahish mar gai warna aage aur bahut aage tak ja sakta tha main chhoti-moti ek lahar hi thi mere andar ek lahar se kya tufan utha sakta tha main kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher is punji par kitna shor macha sakta tha main jaise sab likhte rahte hain ghazlen nazmen git waise likh likh kar ambar laga sakta tha main